Sunday, August 26, 2007

har taraf hai chhaya aisa andheraki chand ki chandni bhi naa kam kar paaye ye dard mera ...nahi pata mujhe kal ka sooraj kaisa hoga....par hai ye maloom ki wo meri zindagi mein savera nahi laa sakega, ye halaat naa jaane kab kaha kaise paida huye..ki humko pata hi naa chala kab hum apne jismo jaan se juudaa huye..
kab tak tadpaoge mujhe mere sanam ..yun hi mujhe milte rahe hain hamesha se sitam...
ab to mere sabra ki hai intehaan ho gayi....mar jaaonga main jo tu mujhse juda ho gayi
tanha ye zindagi,tanha ye safar hai...naa jaane kyaa hai kusoor mera jo tanhayee meri humsafar hai...kab se jiye jaa rahe hain yun hi,ab nahi kat raha ye safar hai...mujhko ye bata aey mere maula kyaa gunaah kiye hain maine, jo dard hi meri manzil aur mera humsafar hai